Thursday, 23 April 2015

Lyrics (Manqabat Khawja Saab)

Manqabat of Sultan Ul Hind Khawja Ghareeb Nawaz

Tera Naam Khawja Moinuddin (r.a)

Khawja Moinuddin Chisty r.a  Manzil
Tera naam Khwaja Moinuddin
Tu Rasool e Paak ki aal hai
Teri shaan Khawaj e Khwajgan
Tujhe bekaso ka khayaal hai

Mera bigda waqt sawar do
Mere Khwaja mujhko nawaz do
Teri ek nigaah ki baat hai
Meri zindagi ka sawal hai

Main Ghada e Khwaja e Chist hu
Mujhe is ghadai pe naaz hai
Mera naaz Khwaja pe kyun na ho
Mera Khwaja banda nawaaz hai

Mera khwaja ataa e rasool hai
Woh Bahaar e Chisht ka phool hai
Woh Bahar e Gulshan e Fatima
Chaman e Ali ka nihaal hai

Yaha bheek milti hai be guma
Yeh bade sakhi ka hai aastan
Yaha sab ki bharti hai jholiya
Yeh Dar e Garib Nawaz hai

Teri Shaan Shanei Qalandari, bou bara Ghareeb Nawaz Hein

Teri shaan Shaan e Qalandari
Tu bada Garib nawaz hai

Tere dar se Dagh e jabi mila
Yeh nishan kitna haseen mila
Yeh niaz hasile naaz hai
tu bada ghareeb nawaz hai

Hame tune apna banaliye
Ghame do jahan se chuda liya
Tera daste jood daraz hai
Tu bada Gharib nawaz hai

Tu Moin Ummat e Mustafa
Tu sabot Rehmat e Mustafa
Tu Ata e Meer e Hijaaz hai
Tu bada Garib nawaz hai

Tere kaif zikr se jhoom le
Tere aastane ko choom le
Yehi aashiqo ki namaz hai
Tu bada Gharib nawaz hai

Teri shaan anjume benawa
Kisi haal me bhi na likh saka
Tu Khuda e Paak ka raaz hai
Tu bada Gharib nawaz hai


Khawjaji dil mein mera kya ghul khilaya

Khwajaji dil me mere kya gul khilaya apne
Zulmato me Noor ka dipak jalaya apne

Sunnate Ghaus ul Wara ko apne zinda rakha
Makre Shaitan se mureedo ko bachaya aapne

Rehnumai aapki hai baise Rehmat hume
Raah e Haq par hum Ghulamo ko chalaya apne

Apne baksha Tasawwuf ko Kamale Jawada(n)
Khanqaho ka chalan kisne badhaya apne

Jab Shahabudin Ghouri jang mein nala(n) huye
Unke hatho me fateh ka parcham thamaya apne

Taki yeh ban jaye waliyo Sufiyo ki sarzami
Isliye Bharat me hi dera jamaya apne

Jab mureedo ne Museebat me pukara apko
Doobti Kashti ko Sahil se lagaya apne

Azmaish ke liye yakja jo jadugar huye
Kalmye Tayyeb ka tibbe jadu jagaya apne

Butparasti me jo sadiyo se rahe the mubtila
Unko apne Khalq se Muslim banaya apne

Tha jo ujda hua sa sheher registan ka
Usko Ajmer e Muqaddas kehel waya apne

Apke aage sabhi ke rang pheeke pad gaye
Aisa chokha rang Wehdat ka jamaya apne

Fayz e Khwaja se chala hai aaj Nazmi ka qalam
Mujh ko kuch likhne ke bhi qabil banaya apne
Roshni which will bring light into your life

Khawja e hind voh darbaar hai ala tera

Khwaja e Hind Woh Darbaar Hai A’ala Teyra
Kabhi Mehroom Nahi Maangney Waala teyra

Hai Teri Zaat Ajab Behr e Haqeeqat Pyaarey
Kisi Tairak Ney Paaya Na Kinaara Teyra

Kis Qadar Josh Tahayyur Key ‘Ayaan Hain Aasaar
Nazar Aaya Magar A’inaa Ko Talwa Teyra

Gulshan e Hind Hai Shaadaab Kaleyjey Thandey
Waah Ai Abrey Karam Zor Barasna teyra

Kya Mehak Hai Key Mu’attar Hai Dimaag e ‘Aalam
Takhta e Gulshaney Firdaus Hai Roza Teyra

Tujh Mey Hain Tarbiyatey Khizr Key Paida Aasaar
Behr o Bar Mey Hamain Milta Hai Sahaara Teyra

Phir Mujhey Apna Dar e Paak Dikhadey Pyaarey
Aankhain Pur Noor Ho Phir Deykh Key Jalwah Teyra

Zilley Haq Ghaus Pey Hai Ghaus Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sarey Khuddaam Pey Saaya Teyra

Tujh Ko Baghdad Sey Haasil Huwi Who Shaan e Raf’ee
Dang Reh Jaatey Hain Sab Deykh Key Rutba Teyra

Kyon Na Baghdad Mey Jaari Ho Teyra Chashma e Faiz
Behr e Baghdad Hee Ki Nehr Hai Darya Teyra

Jab Sey Tu Ney Qadam e Ghaus Liya Hai Sar Par
Awliya Sar Pey Qadam Leytey Hain Shaahaa Teyra

Mohyuddin Ghaus Hain Aur Khwaja Mo’inuddin Hain
Ai Hasan Kyon Na Ho Mahfooz ‘Aqeedah Teyra
                                                            

Hai Chatti Aaj Khawja Piya

Bazm hai nayabe Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki
Har taraf Majma e Auliya
Haraf taraf Majma e Aashiqa hai
Har bashar ke yeh birde zaba hai
Noor hi noor ka ek sama hai
Bazm hai nayabe Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki

Is dulha ke Ali barati
Is dulha ke Wali barati
Ali barati wali barati
Khwaja Usman bhi hai aaye
Khwaja Qutub hai janda uthaye                                 
Baba Farid bhi wajd me aaye                                     
Nizamuddin aur Sabir mil kar gaye
Hai chati aaj Khwaja piya ki

Dhaule gumbad ki ab aan dekho
Mere Khwaja ki yeh shaan dekho
Hind ka hai jo Sultan dekho
Sab ke dil me hai arman dekho
Dekhni hai gali Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki

Dhaule gumbad ki ab aan dekho
Mere khwaja ki yeh shaan dekho
Koi kali haat na jaye
Daman bhar bhar kar le jaye
Rota aaye hasta jaaye
Dekh aata e khwaja fir wo gaaye
Hai chati aaj Khwaja piya ki
Dekhni hai gali Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki

Apne Rizwan pe itna karam ho
Sar tere aastane pe kham ho
Aankh bhi Ishq e Ahmed me nam ho
Sas jab tak chale dum me dum ho
Naat parta rahe Mustafa ki
Hai chati aaj Khwaja piya ki

Tumho Janei Ali, Data Hindal Wali


Khawja Moinuddin Chisty r.a
Tum ho jane ali 
Data hindal wali 
Mere khwaja piya

Maula ali ke
Noor e nazar ho
Pyaare nabi ke
Lakhte jigar ho
Hum par inayat
Shaam o shahr ho
Saiyad e mohtaram
Kardo kardo karam
Mere Khwaja piya
Tum ho jane ali 
Data hindal wali 
Mere Khwaja piya

Usman ke pyaare
Dukhiyo ke waali
Koi bhikari koi sawali
Dar se tumhare 
Lauta na khali
Tum ne sab ko diya
Sadqa e chistiya
Tum ne sab ko diya
Khwaja sab ko diya
Sadqa e chistiya
Mere khwaja piya
Tum ho jane ali 
Data hindal wali 
Mere khwaja piya

Jisne bhi tumko
Dukh me pukara
Usko diya hai
Tum ne sahara
Mera bhi daman
Bhar do khudara
Waliye bekhasa
Khwaja e Khwajga
Mere khwaja piya
Tum ho jane ali 
Data hindal wali 
Mere khwaja piya

Yaad jab aay 
Tumri nagariya
Chanda ki jaisi 
Dholi atariya
Tadpu mai jaise 
Jal bin machaliya
Ab to kirpa karo
Haat sar pe dharo
Khwaja kirpa karo
Mere khwaja piya
Tum ho jane ali 
Data hindal wali 
Mere khwaja piya

Nusrat hai tum par
Qurban khwaja
Hum sab kahe yeh 
Arman khwaja
Kardo is ummat pe
Ehsaan khwaja 
Ek nazar daal do
Mushkile taal do
Mere khwaja piya
Tum ho jane ali 
Data hindal wali 
Mere khwaja piya
Mere Khawja Piya ho Nigahei Karam
(Riathuddin Nepaul)

Mawla Ali ka shehzada, Mera Khawja Moiin

Tumhari arfao ala hai hasti
Mera khwaja bana mujh ko bahishti
Tum aaye hind ke zulmat kade me
Diya imaan mitaye budh parasti.

Bachalo me to duba jaa raha hun
Bhawar me aa phasi hai meri kashti
Madad ka waqt hai lillha uthiye
Madad kun ya Moinnuddin chishty.

Moin e bekasa hai mere khawaja
Dikha dijye mujhe taiba ki basti
Dikha do ab to taiba k nazare
Mere khawaja hai ye aankhen tarasti.

Sada rehmat teri saya figan ho
Rahe hum par tumhari sarparasti
Mujhe jaame karam aisa ataa ho
Rahu makhmoor phir utre na masti.

Hai manzar khush numa ajmer ka ye
Yaha din raat hai rehmat barasti
Hai hum par khaas faizane moini
Nahi chal sakhti hum par zor dasti.

Chala do ab hame rahe sunan par
nikalo hum se be amli wo sussti
Likhe kya manqabat khwaja ki sayyed
Kaha tu aur kaha khwaja ki hasti.

Ya Khawja Moinuddin karam dikhlado hamei voh sona haram

Ya Moinuddin karam dikhlado hame wo sona Haram
Lillah karo mangto pe karam dikhlado hame wo sona haram

Tere dar pe khazina milta hai tere dar se Madina milta hai
Hum par bhi ho aaqa lutfo karam dikhla do hame wo sona haram

Yun Khwaja teri baaraat chali aage ho Ali piche ho wali
Tashrif hai laye shahe umam dikhlado hame wo sona haram

Hai haazir dar par diwane ya Khwaja piya ab tu jaane
Badi door se dar par aye hai dikhlado hame wo sona haram

Tere dar to hai darbare aali jaau mai bhala kaise khali
Ya Khwaja na tute mera bharam dikhlado hame wo sona haram

Ye Sunni Dawate Islami maqbul jahan me ho naami
Ho ispe sadaa tera daste karam dikhlado hame wo sona haram

Tera Shakire Razvi shaad rahe ghar iska sadaa aabaad rahe
Bade izzato azmaton jahohasham dikhlado hame wo sona haram

Kya arz kare adnaa sayyed mit jaye dilon se bugzo hasad
Bas jaye tumhara naqshe kadam dikhlado hame wo sona haram



Ya Khawja e hindal wali

Ya Khwaja e hindalwali
Mehboobe sultane haram
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ai Mustafa ke laadle
Hai dilbare shahe umam
Bekaso pe karam ho jaye karam

 Noor nigahe panjtan
Tanveere shahe zulminan
 Khwaja Moinuddin Hasan
 Ye waqt hai mujhpe kathin
 Sar pe hai toofane alam 
 Bekaso pe karam ho jaye karam

Khairunnisa ke waaste
Mushkil kusha ke waaste
Kul ambiya ke waaste
Khwaja khuda ke waaste
Majboor ka rakh lo bharam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ai taajdare auliya
Hami nahi koi mera
Sunlo khudara iltija
Fariyad hai Khwaja piya
Tadpa rahe hai dardo gam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Ab aankh hai gam se bhari
Hai dard ki shiddat badi
Tu kaat de gam ki kadi
Rota hai pur noor nam har ghadi
Kehte hai aasu dam ba dam
Bekaso pe karam ho jaye karam

Delhi Rajestan Tumhara yaa Khawja

Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja

Hind May Navve Lakh Ko Kalma Padhwaya
Hum Per Hai Ahsaan Tumhara Ya Khwaja

Saara Anasagar Kuze May Bhar Aaya
Sunte Hi Farmaan Tumhara Ya Khwaja

Aap Pe Hai Faizan Janab e Usman Ka
Hum Per Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja

Faiz e Madina Milta Hai Ajmer Se Hi
Roza Hai Zeeshan Tumhara Ya Khwaja

Rahe Sunni Dawat e Islami
Ye To Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja

In Dono Per Khaas Karam Tum Farmana
Ahad Aur Riathuddin Tumhara Ya Khwaja

Syed Ko Taibah Ki Galiya Dikhla Do
Hai Adnaa Darban Tumhara Ya Khwaja

Khawja e Hind wo darbaar hein ala tera

Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Kabhi Mehroom Nahi Maangne Waala Tera

Khuftgane Shabe Ghaflat Ko Jaga Deta Hai
Saalhasaal Wo Raato Ka Na Sona Tera

Hai Teri Zaat Ajab Bahre Haqeeqat Pyare
Kisi Tairaak Ne Paaya Na Kinara Tera

Gulshan E Hind Se Shadaab Kaleje Thande
Wah Ay Abre Karam Zor Barasna Tera

Kya Mahak Hai Ki Mu'attar Hai Dimaag E Aalam
Takhta E Gulshan E Firdaus Hai Rouza Tera

Tujhme Hai Tarbiyate Khizr Ke Paida Aasaar
Bahro Bar Me Hume Milta Hai Sahara Tera

Zille Haq Ghous Pe Hai Ghous Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sare Khuddam Pe Saaya Tera

Tujhko Baghdad Se Haasil Hui Wo Shaan E Rafe'a
Dang Rah Jaate Hai Sab Dekh Ke Rutba Tera

Kyo Na Baghdad Me Jaari Ho Tera Chashma E Faiz
Bahre Baghdad Hi Ki Nahar Hai Dariya Tera

Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sarr Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera

Muhiyyudi(n) Ghous Hai Aur Khwaja Mueenuddi(n) Hai
Ay Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera

7 comments:

  1. http://www.chishtymission.com
    This site is to enable more and more people to benefit from the blessings of Khawaja Baba and realise the power of All mighty Allah and his disciple, Khawaja Moinuddin Chishty of Ajmer.
    Sufi ajmer

    ReplyDelete
  2. assalam alaikum my brother i have to say u obout this mankabat u written a worng santance
    hind me navve lakh ko kalma padwaya

    in dono pr khas karam tum farmana shakir or rizwan tumhara ya khaja

    an second is rahe salamat sunni dawate islami ye to hai faizan tumhara ya khaja

    this mankabat written by m.sdi sayyad mohammad qadri

    ReplyDelete
  3. where can get the audio of these manqabat

    ReplyDelete
    Replies
    1. http://sunnidawateislami.net/

      Delete
  4. Namaz Me Dil Lagany Ka Wazeefa..

    "Ya Allahu, Ya Ghafooru, Ya Qaadiru"

    Jo Shakhs Sony Se Pehly 21 Martaba Parhy Ga,
    InShaAllah Us Ka Dil
    Namaz Ki Taraf Ho Jaye Ga..!
    Naat Sharif

    ReplyDelete